Sarva-vyapini, sarva-drastha, sarvagya,
Tum sarva-shaktiman ho.
Sarvopari, sarva pratham,
Sab se pare mahan ho.
Anekon naam , anek roop,
Anginat teri upmayen hain.
Akathaniya gati teri hai,
Avarn niya teri Mahimayen hain.
Aanand ke nit naye-naye,
Aayamon ki abhivyakti ho.
Aparimit sambhavnaon se paripurna,
Prabhu ki tum anant shakti ho.
Mahamanav ki janmadatri,
Divya-janani Mahamata ho.
Mahanata ki murti Mahashakti,
Sarva jag Vidhata ho.
Manav-mastishka chhudra boond hai,
Tum Maha sagar ho.
Manavata ki mahanta,
Tum sarva Gunagaar ho.
Manav-mastishka me jab,
Prakash tera aata hai.
Ahankar ka parda tab,
Pal me gir jata hai.
Baahar bhitar ek ho jata,
Sab vilaya ho jata hai.
Mai aur mera nahin rah jata,
Sab tera ho jata hai.
Teri shakti anant apar,
Vahan karati sab ka bhar hai.
Tera prem hi ek matra,
Manavi-chetna ka aadhar hai.
Tum hi sab ke karta -dharta,
Par manav samajh na pata hai.
Ahankar ke vash me ho kar,
Apana hi gaal bajata hai.
Beet jati umra sari,
Sandhya jivan ki aa jati hai.
Mout se bhay bhit manav ki,
Chetna tab ghabarati hai.
Badi der ho chuki hoti hai
Kya Karen baat kuchh samajh na aati hai.
Aage ab kya ho ki chinta,
Barambar satati hai.
Sujh na pata marg jise,
Bhatak jo jata hai.
Eise vyakul logon ko,
Tera prem ho raah dikhata hai.
Shrey-hin hokar gir jati,
Jivatma akulati hai,
Hey Dayamayi! Tu unko bhi,
Sharan me apane le aati hai.
Adhika dhik mujhse prem karo,
Ji chahe jahan le chalo Hey Maa!.
Bichhud na jaoon punah tujhse,
Swayan tum hath mera tham lo Hey Maa!.
Jag ke santap se utpidit,
Vikal jab ho jata hoon.
Tab tere charanon par hi,
Seer apana chhupata hoon.
Aur na koi vikalp kahin,
Tu hi sahara sab ka ek matra hai.
Tere siva suhrid hamara,
Aur na koi anyatra hai.
Jag se jo sikha us se,
Jivan jina kathin hua.
Tujhse sikh kar jab jana,
Tere prem me tab leen hua.
Jab Jag tujhse sikhega,
Tab gyan ki Ganga bah jayegi.
Prem-aanand ki barsat hogi,
Vatikayen jivan ki lahrayengi.
Maine kitne aparadh kiye,
Sab ko tune maaf kiya.
Har prakar mere hit nirat,
Pal-pal mujhko saaf kiya.
Dhyan mera ab har kshan,
Tere charanon par laga rahe.
Har saans me tera naam ho,
Jivan bhar prem tera bana rahe.