Virat ki shakti Viratangna,
Akhil Brahmand ki swamini ho.
Prabhu ki param-prakriti Adishakti,
Sab jag ki tum janani ho.
Hai asim akhand vistar tera,
Agadh teri gahrai hai.
Samast lokon bhuvno me,
Satta teri hi samai hai.
Teri shakti anant apar,
Sakal srishti rachai hai.
Grah nakshtra taron bhare nabh ke niche,
Hari-bhari dharti manohari banai hai.
Sab aadharon ki aadhar,
Param pavitrata ho.
Neele gagan ki gahraiyon ki,
Tum niravata ho.
Teri Aakhon me param shanti ka,
Sagar samaya hai.
Nakshtra-taron khachit antriksh me,
Samrajya niravata ka chhaya hai.
Asankhya taron ko gunthane wali,
Hey Maa! tum "Akash Ganga" ho.
Sab jag ko tarane wali,
Tum "Vishwa Ganga" ho.
Sab rangon ki janani shubhrata,
Tum dhavala ho,
Manav-chit ko nirmal karane wali,
Shri Mata Nirmala ho.
Gambhiron ki gambhirata,
Veeron ki Veerta ho.
Dhiron ki dhirata tum,
Chanchal chit ki sthirata ho.
Bhakti-bhavon ki abhivyakti,
Sab ki jivani shakti ho.
Sat-Chit-Anand dayani tum,
Jivan mukton ki mukti ho.
Amar jyoti hai prakash tera,
Anant-Jivan ka pran hai.
Tera prem hi satya hai,
Paramanand Tera gyan hai.
Manavi-chetna ki parakashtha,
Jab gyan tera aata hai.
Tujhako janane ke baad,
Kuchha shesh nahi rah jata hai.
Bahu-aayami gati tari hai,
Upmayen sab tujhse pate hain.
Tujh me utpanna hote sab,
Tujhme hi sama jate hain.
Hey Maa! teri bhavyata se,
bhakti-bhav bhar aate hain.
Pad-kamal sparsh karane barbas,
Mastak hamare jhuk jate hain.
Sampurna mook-samarpan ho jata,
Shabda na mukh se aate hain.
Karuna-sagar ke samane,
Sajal nayen ho jate hain.
Aanandatirek se hrudaya gad-gad,
Vani ne moun dhara hai.
Man Mugdha hua dekh raha,
Tan me chaitnya bhara hai.
Sudh-budh kho kar man,
Mukt-vichar ho jata hai.
Tallin tere charon par,
Sat-Chit-Anand se bhar jata hai.
Tere balak ban kar jisne,
Param saubhagya paya hai.
"Nirmala Vidya" ke prakash me,
"Maram" sahaja yoga ka paya hai.