Jab Jab hota hrass dharm ka,
Aur adharma badh jata hai.
Tab tab hote avatar Prabhu ke,
Yah vishwa shanti pata hai.
Sadhu santo ke tran hetu,
Avatar Prabhu ji lete hain.
Daman dusto ka karte,
Bhakto ko sukh dete hain.
Arjun ko Gita ka gyan diya
Madhusudan Krishna Murari ne.
Virat ka roop dikha kar
Bhram ka haran kiya Asurari ne.
Vishwa Nirmala Dharma dayini
Ma Nirmala ne bhi yah darshaya hai.
Virat ki Shakti Viratangana ne,
Laghu me Virat Dikhaya hai.
Nirmala Vidya ke prakash me,
Anekata me ek bataya hai.
Simit me asim dikhaya,
Har manav me Brahmand samaya hai.
"Vishwa Nirmala Dharma" hi "Swadharm",
Sab me sum bhav sikhata hai.
Oonch nich ka bhed bhula kar,
"Atma" ki anubhuti karata hai.
Sab bhed bhav mit jate,
Rang-bhed mit jate hain.
Jati-Pati, chhua-chhoot, bhashaon ke,
Bandhan Tut jate hain.
Dharmo ke aadamber hat jate,
Jab Nirmala Dharma apanate hain.
Parmatma ke pavan dharm me,
Sab dharma mil jate hain.
Ab naa Koi kisi ka Guru Moulvi,
Father naa ban payega.
Parmatma se Atma ka sidha,
Milan "sahaja" me ho jayega.
Chalte phirte Kalp Vriksha ke,
Ab aranya dhara par aayenge.
Sandesh MatriPrem ka ve,
Jan jan ko sunavenge.
Sab ki shuddha itchhaon ki,
Ve purti karate Jayenge.
Varsha sheetal chaitnya ki,
Chahu ore karate jayenge.
O ! Parmatma ko khojanewalo,
Pagalvat kyon daude jate ho.
Prabhu ko pana hai to sahaja me aao,
Jivan me kyon kast uthate ho.
Thahro jara suno dhyan se,
Swarna awasar Ab aaya hai.
Visha Nirmala Dharma me hi,
Sab dharmo ka Saar samaya hai.
Tirthatan karne jate ho,
Bhid me kuchale jate ho.
Vyarth me apani jan gawate,
Ya khali hath chale aate ho.
Mandir Maszid Girija Gurudwaron me,
Chahe bhid lagaoge.
Par Atmasakshatkar bin kaise,
Sahib ko Dekh Tum paoge.
Khol kar dwar hridaya ke,
Taiyar jab tum ho jaoge.
Sahajayoga apna kar tab,
Par tum ho jaoge.
Phir adbhut Lila Prabhu ki,
Dekhoge aur dikhaoge.
Sant mahatmaon ke kathano ki,
Tum pusti karate jaoge.
Manavi sansthano me asur chadhe hain,
Dhak apni jamaye hain.
Vinash ki shaktiyon se sajjit,
Durgam durg banaye hain.
Karne visphot manavata ka,
Antim daon lagaye hain.
Is srishthi ke vinash hetu,
Jam kar kadam jamaye hain.
Aise me keval ek hi ab,
Vikalp dikhai deta hai.
Vishwa Nirmala Dharma apanaye,
Yeh sankalp dikhai deta hai.
Sabko dharan karne wala dharma,
Yeh sabse pare mahan hai.
Isi ke bal se chal rahe,
Sab manavi sansthan hai.
Adishakti ki sharan me ja kar,
Navjivan tum pa jaoge.
Maa ke priy balak ban,
Mukt bhay aatank se ho jaoge.
Jab Adishakti swayam virajman yahan,
Tab auron ka kya kam hai.
Jan-sadharan ko thagne wale,
Parmatma ko karate badnam hain.
Bade bade vilakshan pratibha wale,
Vyaktitwa dikhai dete hain.
Rang-virange plastik phulon ke,
Kitne astitwa dikhai dete hain.
Is ghor kaliyuga me isiliye,
Bhram ka chhaya raj hai.
Dekh na pate sach kolog,
Sun na pate uski aawaj hai.
Ho kar sachet ab tum,
Apane dil ki aawaj suno.
Sote na raho jag jao,
Antim Nirnay ki yeh bat suno.
Sanhar asuron ka karane,
Shri Kalki ne avatar liya.
Adi Shakti Jag janani ne,
Nirakar se aakar liya.
Hota hrass naitik mulyon ka,
Maryada se manav gir jata hai.
Khandit ho kar tut jata,
Uska astitwa bikhar jata hai.
Mousam-suchak Yantron se toofan ki,
Agrim suchana jab mil jati hai.
surakshit aashray sthalon par,
Tab sharan le li jati hai.
Aise hi Vishwa Nirmala Dharma ab,
Sab ka ashray data hai.
Is sankat ki ghadi me keval,
Maa Nirmala hi Jag ki trata hai.