Sahajayoga hi hai, param dham ka panth.
Saral sugam is panth par, chalate vigyani sant.
Sab jag jivan ka, antim yeh saar.
Sahajayoga ke marg se, jate Prabhu ke dwar.
Divya-prem ki prapti, is jivan ka arth.
Sahajayoga me yeh mile, baki sab vyarth.
Dhire-dhire sab me, ho jayega sudhar.
Sahajyoga ke abhyas se, ho jaoge bhav-par.
Jo chahe kar sakate, rakh kar sahaj ka gyan.
Sahaj gyan se har kshetra me, hote karya mahan.
Nirmal is yog se, hoga nirmal vigyan.
Sab shankaon ka ek matra, sahajyoga samadhan.
Jatiya Rastriya Antar-rastriya, sab prashnon ka nidan.
Sab ki samasyaon ka keval, sahajyoga samadhan.
Tare tute sagar sukhe, chahe Sumeru jaye tal.
Par bin sahaj na bhav tare, yeh siddhant atal.
Sahajyoga me hi, Atma se hota parichay.
Atma se badh kar nata, aur na jag me anya.
Har kshan harpal sath rahe, hardam rakhe sambhal.
Maa ke anchal ki chhaon me, bhay ka kahan saval.
Aandhi Tufaan durghatna, mahamari aur akal.
Viplav danga aatank bhay, vishwa-yuddha bhuchal.
Anu-yuddha ki kagar par, khada hua sansar.
Jan-jivan aatankmay, mach raha ha-ha kaar.
In sab se kabhi bhi, ho sakata jivan ka ant.
Apana kar sahajayoga, ho jao tum nishchint.
Vishwa-yuddha ka, manavata ko hai bhay.
Keval sahajyoga sab ko, de sakata ashray.
Chhod jivan ka aasra, mout ko dhuden log.
Ab bhay kis baat ka, rakshak hai sahajyog.
Buddhiman ve log hain, karte jo sahajyog.
Mout se bhi bach jayenge, honge nahi bhav-rog.
Apane hi dushkarmon se, jivan me hota asantosh.
Bin jane samjhe hi log, dete hai Prabhu ko dosh.
Badi kripa Prabhu ki, "Maa Nirmala" ka avatar.
Sukh karne dukh harne, dene Maa ka pyar.
Sthapna "Vishwa Nirmala Dharma" ki, karne asuron ka samhar.
Manavata ka rakshak ab, liya "Kalki Avatar".
Sare jag me chahu or, chhaya bhay aur aatank.
Manav ban gaya hai danav, karne jivan ka ant.
Ghadi mout ki aaye, aaye Kayamat ke din.
Maa Nirmala ki sharan me, mil jayega jivan navin.
Maa se badh kar manav ka, koi na rakshak aan.
Sinch kar prem amrit bachaye balak ke pran.