Jay jay jay Hey Nirmala Mata!
Jay jay jay Hey jan sukh data!
Adi Shakti ki tum avatara.
Linho janm haran mahi bhara.
Daya kshama karuna ki janani.
Aai tum bhav-bhay harani.
Parmeshwer ki shakti Parmeshwari.
Hey Jaganmata ! Jagdishwari!
Teri kripa se sab kaaj sanvarate.
Sab sahaji dhyan nit dharate.
Maha shakti tum Adi Kundalini.
Adi Mata jag ki tum janani.
Mahalaxmi Mahasaraswati tum Mahakali.
Trigunatmika tum jag ki mali.
Tum Virat tum hi Viratangana.
Tum Shri Vishnu tum Laxmi ramana.
Nirakar se Sakar banaya.
Kuchh nahi se kaise kuchh laya?
Tune kaisa yeh jahan banaya.
Dharti aur aasman banaya.
Tune amber me tanke tare.
Dhara par bhi hain tere hi pyare.
Char-achar aur Insaan banaya.
Chand-sitaron se aasman sajaya.
Din-raat aur andhera ujala.
Kaal-chakra ka pahiya dala.
Teri shakti anant apar.
Tu hi sab ka palanhar.
Diya tune ab Amrut ghol.
Ban gaya jivan ab anmol.
Kaisi hai yeh teri maya.
Ab tak koi bhed na paya.
Mithya is jag me man bharamaya.
Kan-kan me tu hi samaya.
Yeh bhav-sagar duster bhaykari.
Basat yahan makra jhak bhari.
Vyal karal basat yahan hain.
Budat hain unko dasat yahan hain.
Tera paar na koi paya.
Par tune sabko paar lagaya.
Prem ki naiya tune banaya.
Sahaja me sabko paar karaya
Is kaliyug me Satyug laya.
Paap-punya me bhed karaya.
“Antim-nirnay” sahaja me laya.
Atma ka sakshatkar karaya.
Sahaja me paya Atma ka darshan.
Ho gaya khatm Maya ka nartan.
Dekha bahar kitna hai sunder jivan.
Aanand bhara har saans ka spandan.
Panch tatvon ka yeh khel.
Jad-chetan ka ka yeh adbhut mel.
Atma hi Parmatma ki parchhain.
Maa! tune sab kuchh sahaja me dikhai.
Sab dharmon ka bhed mitaya.
Vishwa Nirmala Dharm me sab dikhalaya.
Anekata me ekata dikhaya.
Desh dharm varn rang-bhed mitaya.
Sahaj-kranti ka hua darshan.
Sab ke jivan me aaya parivartan.
Jan-jan ke rogon ka haran kiya.
Manav ne Atma ka varan kiya.
Vasudhaiv kutumbakam ka sapna.
Hua ab sara jag apana.
Chaah gai chinta miti hua ma hara.
Har-pal jivan ka ab aanand bhara.
Hai tera prem pavitra anal.
Jal jate jag ke sab garal.
Kaam-krodh moha mad matsar.
Mit gaya bhed-bhav parasper
Satya-ahimsa kshama aru prem.
Sikhaya dhyan dharana diya yog-kshem.
Tere darshan se kate bhav-pasha.
Ho gai puri hamari aasha.
Hey Adimaya Mahamaya Adishakti !
Tere charanon par ho ananya bhakti.
Haath pakad kar hamko le chal.
Jayen na ham phir phisal.
Aisy bhakti de do hey Mata!
Jaise sagar me boond samata.
"Mai aur mera" nahin rah jata.
Sab kuchh tab tera ho jata.
Param Pujyaniy Shri Mata Ji Shri Nirmala Devi ke Charan Kamalon par
Shraddha aivam vinamrata purvak samarpit.
OM TWAMEV SAKSHAT SHRI KALKI SAKSHAT
SHRI SAHASRAR SWAMINI MOKSHA PRADAYINI
MATA JI SHRI NIRMALA DEVYAIH NAMO NAMAH.