Ho gaya siddha sahaja me,
Parmatma ka satitva.
Prabhu ka antim nirnay yeh,
Divya Prem krittitwa.
Divya prem ki prapti,
Is jivan ka arth.
Sahaja yoga me yeh mile,
Baki sab vyarth.
Maan samman raj-pad,
Dhan-daulat bangle car.
Divya prem ke samne,
Sab kuchh Bekar.
Bible, Ramayan, Gita,
Ved Shastra Puran.
Upnishad, Bhagvat, Guru granth,
Aur pavitra Kuran.
Sab ka sar ek hi,
Param-tatwa ka gyan.
Divya-prem me yeh mile,
Lakshya na jivan ka aan.
6
Divya-prem ka sarvtra,
Phail raha prakash.
Divya-chetna se bhara,
Hai sara Akash.
Divya-Janani ne diya,
Dwij ko ab janm.
Divya-jivan ka prarambh,
Door huye sab bhram.