Hey Maa! tum sam sadguru, aur na jag me aan.
Keval tum swayam ho. Apane Aap saman.
Aisa guru hamko mila, jivan me pahali baar.
Samast gyan ka, jinme hai bhandar.
Hey guruon ke Guru! mujhe, kar do guruta se yukt.
Ban jauon mai guru swayam ka, ho jaoon jivan-mukt.
Mahima sadguru ki, mukh se kahi na jaay.
Shabda-kosh khali huye, varnan hua na jaay.
Sari srishthi ke gyan ko, khel-khel me diyo batay.
Parmatma ke khel me, Aanand apurva samay.
Chala lutane aaj, anant gyan bhandar.
Bhed mita laghu-dirgha ka, hua anant vistar.
Parbrahma Parmeshwari, Adishakti guru hamar.
Diya Sahaja Yoga, karaya Atma-sakshatkar.
Sampurna Vishwa me phail raha, sahaja yoga ka prakash.
Jan-sadharan Sahaja yogi, ban rahe anayas.