Sahaja yoga dayini yogeshwari,
Mahan tera avatar hai.
Maha shakti mahati maheshwari,
Mahat tera vistar hai.
Maha Rajni Mahadevi,
Mahima teri mahan hai.
Mahan vibhution ki swamini,
Mahan teri shan hai.
Maha Laxmi Maha Saraswati,
Maha Kali tu Maha Maya hai.
Virat ki shakti Viratangna,
Tujhme Brahmand samaya hai.
Madhya me sthit madhyama,
Parikrama sab teri karte hain.
Madhya marg gami jan,
Santulan tujhse pate hain.
Tujhse se hat kar chalane wale,
Khate anekon aaghat hain.
Path-vichlit taron ke,
Ho jate ulkapat hain.
Hey Tribhuvan Swamini! tujh sam,
Kahin na koi paya hai.
Neti-neti kah gaye Ved charon,
Par na koi paya hai.
Shramit huwe sab shatra-puran,
Bhed na koi paye hain.
Par bhakton ke khatir roop dhare,
Kshan me dardhan paye hain.
Hey Devi Prasnna vadane!tune,
Sab kleshon ka haran kiya.
Ho gai puri sari aashayen,
Jab se tune sharan diya.
Bane rahen ham sada balak tumhare,
Shri Ganesh Yeshu ka dhyan karen.
Nishpap Nishchhal Nirmal ban,
Bhakti- bhav se tera samman karen.