Sabhi shaktiyon ke, Adishakti hai shrot.
Sahajayoga se janiye, ho kar bhram mukt.
Sakal jagat sacharachar,Adishakti ke aayam.
Gyan-Vigyan ki shodh ka, antim yeh parinam.
Padarth-shakti samikaran,Einstein ki hai shodh.
Sahajayoga ka gyan hi, hai jad-chetan ka bodh.
Bhoutik-Ganit shashtra ke,hai jo bhi samikaran.
Sab me shakti ka hi hota hai mulyankan.
Jina uska dhubhar hota,ho jate jo shakti hin.
Mil jata matri-prem me, punah usko jivan navin.
Prem hi satya prem hi jivan,karle tu bhakti.
Prem mayi "Mata Nirmala" Hi, hain Parmeshwari Adishakti.
Kya pana iss jivan me, kya hai iska gantvya.
Pana param prem Maa ka, ho jana hi divya.