JSM !
Mujhe Ma ke Liye kuch Ban ke dikhana he,
Zoothi dunia ko saccha banana he.
Kathin he rasta magar ma ka he vasta he ashish ma ka sar pe to har saral he rasta.
Dunia se Pakhand mitana he,
Satya ki jyot jalana he,
Hhume to sahajayogi banana aur banaana he.
Maa ne kaliyug me akar satya se parichay karaya he,
Dhanya he Adi maa jinhe apne baccho ka khayal bhi aya hai.
Yugo-2 se jis satya ke liye Bhatak rahe the,
Vahi satya sahaj me bina mehnet ke paya he,
Mujhe Ma ke Liye...
Shrimataji jo santo,
Guruo aur devo ki bhi maa he,
Aaj har vani ko satya kar ke dikhlana he,
Dhero Atmasakshatkar pradan kar apna va auro ka laksya sadhya karna he.
Mujhe Ma ke Liye...
Vo pran pran nahi jo Ma ke kaam na Aa sake,
Vo jeevan jeevan nahi,
Jo auro ke kam na Aa sake,
Vahi kabir vahi gyandev ban ke dikhana he,
adhunikta me maya ke jaal se hatkar adhunik hokar sahajyoga failana he.
Mujhe Ma ke Liye...
Ab nahi he vo samay jab bhajno se Hari ko manana he,
Ab to Maa ka jamana he,
Har gali me har ghar me jyot jalana he.
Yahi vo tarika he jiske liye Adimaa aye he,
Samaj se andhakar hatakar Buddha banane aye he.
Dhanya ho jayenge vo log jo Ma ke Kaam ayenge,
Phir janam nahi ayega Moksha Sahaja me Payenge Aur amar ho jayenge.
Mujhe Ma ke Liye...