Anant-jivan ki abhivyakti, Sab vyaktitvon ke vyaktitva ho. Sab jag ke udgam tum, Sab astitvon ke astitva ho.
Sab prashnon ke uttar, Sab shankayon ke samadhan ho. Nirash jano ki aasha, Jivan ki madhu muskan ho.
Thake haron ki shakti, Din-bandhu dukh-harta ho. Manav man ki shanti, Pranat pal sukh-karta ho.
Tino Lokon ke swami, Brahma,Vishnu, Mahesh ho. Indra, Agni, Vayu, Surya, Chandra, Yeshu, Budhha,Shri Ganesh ho.
Radha, Sita, saraswati, Parvati, Kali, Durga, Jagdamba ho. Mahalaxmi, Mary, Gauri, Yeshu, Ganesh ki Amba ho.
Yogeshwer Shri Krishna, Maryada purushottam Shri Ram ho. Bhratajan Bharat Shatruhan, Lakshman aur Balram ho.
Mohammed, Mahavir, Nanak, Shirdi Sainath ho. Sab jag ki swamini tum, Anathon ke nath ho.
Samraton ke samrat, Sab jag ke adhinayak ho. Mata-pita, swami sabke, Suhrid aur sahayak ho.
Sahaja yogiyon ki priy janani, Nav-jivan daan deti ho. Moksha-pradayani, bhakt-vatsla, Param Gyan deti ho.
Tera nata prem ka, Sachcha tera pyar hai. Dekh liya ab parakh liya, Jhutha sab sansar hai.
Tera bakak ban-na, Kitna bada saubhagya hai. Jivan dhanya ho jana sahaj me, Pa jana swarajya hai.
Ho rahe vihval prem me tere, Kya kahen kuchh kaha nahi jata hai. Karuna ke sagar me doob rahe hain, Aanand hrudaya na samata hai.
Is akin-chan par itni daya, Ghat me sagar bhara jata hai. Ashruon ke moti ban jate hain, Mala charanon par chadhata hai.
Apane jigar ke tudke ko, "Maa" ne hrudaya se lagaya hai. Puchkara hai sahalaya hai, Shanaih shanaiah panpaya hai.
Gir gir jata jab jab yeh, Har baar ise uthaya hai. Badi jugat se sambhala, Pag-pag chalana sikhlaya hai.
Mout se bhi lad kar, "Maa" ne ise bachaya hai. Ga-ga kar loriyan udas kshnon me, Ji iska bahlaya hai.
Hey Maa! tere bin ham minvat, Jal bin kaise jiyenge. Har saans me pran lete hain, Pran bin saans kaise lenge.
Jiska koi nahi sahara, Uski yumhi ek aash ho. Saans ke liye bechain jo, Uske jivan ki tum saans ho.
Aisa lagata hai ab, Tere charanon ko kabhi na chhodun. Saath na chhodun kabhi bhi tera, Chahe jag se mukh modun.
Hey Maa! tere bin ham balakon ko, Kaun bataye Prabhu kahan hai? Prabhu ke Prem-pravah tum, Prem bin Aanand kahan hai?
Sab santon ne satya kaha hai, Ab siddha sahaj me ho jata hai. Prabhu ko pana Anant-jivan hai, Manav Atimanav ban jata hai.